Name: Yeh Jafaa-e-Gham Ka Chaara
Album: Faiz By Abida Parveen
Duration: 09:51
Written By: Faiz Ahmed Faiz
Download Link: http://www.mediafire.com/?bsphnrei42n
Complete Lyrics:
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam

Tera husn dast-e-eesa, Teri yaad roo-e-mariyam

Yeh jafaa-e-gham ka chaara...
Dil-o-jaaN fida-e-rah-e, kabhi aa key dekh humdum

sar-e-koo-e-dil figaraN, shab-e-aarzoo ka aalam
sar-e-koo-e-dil figaraN, shab-e-aarzoo ka aalam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Tera husn dast-e-eesa, Teri yaad roo-e-mariyam
Teri deed se siwa hai, tere shouq mein baharaN

Woh chaman jahan giri hai, tere gaysuu'oN ki shabnam
Woh chaman jahan giri hai, tere gaysuu'oN ki shabnam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Tera husn dast-e-eesa, Teri yaad roo-e-mariyam
Lo suni gayi humari, Yun phirey hain din key phir se

wohi gosha-e-qafas hai, wohi fasl-e-gul ka matam
wohi gosha-e-qafas hai, wohi fasl-e-gul ka matam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Tera husn dast-e-eesa, Teri yaad roo-e-mariyam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Yeh ajab qayamateiN haiN, teri rahguzar mein guzraN

Na hua key mar miTeiN hum, na hua key jee uTheiN hum
Na hua key mar miTeiN hum, na hua key jee uTheiN hum
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Tera husn dast-e-eesa, Teri yaad roo-e-mariyam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara...
Tuesday, April 21, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment