Tuesday, April 21, 2009

Jab se tuu ne mujhe

This is the rare version of 'Jab se tuu ne' and probably the longest one.

Name: Jab se tuu ne mujhe
Album: Live In UK Vol 03
Duration: 18:00
Lyrics: Nasir Kaazmi

Download Link: http://www.mediafire.com/?qhysr66hlw5

Complete Lyrics:

Kisi ka kia jo kadmoN per jabeen-e-bandagi rakh di
Humaari cheez thi hum ne jahan jaani wahan rakh di
Jo dil maanga to woh bole key thehro yaad kerne do
Zara si cheez thi hum ne khuda jaane kahan rakh di

Nadi kinaare dhuaaN uthey mein jaanoN kuch hoye
Jis kaaran mein jogan bani kahin woh hi na jalta hoye

Jab se too ne mujhe Deewana bana rakha hai
Sang har shakhs ne haathon mein utha rakha hai

Misaal-e-saada waraq tha magar kitaab mein tha
Woh din bhi they mein tere ishq key nisaab mein tha

Tulsi aisi preet na ker jaisi lambi khujoor
Dhoop lage to chaoN nahin bhook lage phal duur

Us key dil per bhi kari ishq mein guzri ho gi
Naam jis ne bhi mohabbat ka sazaa rakha hai

More nainan mein, main palak dhaamp tohe leeyuN
Na mein dekhun aur ko, aur na tohe dekhan deyuN

Duniya bari baanwari pathar poojane jaaye
Gher ki chakki koi na pooje jis ka peesa khaye

Patharo aaj mere sar pe baraste kion ho?
Main ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai

Mar bhi jaon to dafna dena maikhane mein
Ta ke maikhane ki mitti rahe maikhane mein

Khudaya peene waloN ki kahin basti juda hoti
Jahan hukman peeya kerte na peete to saza hoti

Pee ja aayam ki talkhi ko bhi hans key naasir
Gham ko sehne mein bhi kudrat ne maza rakha hai

Neeyat-e-Shouq

Name: Neeyat-e-Shouq
Album: Live In UK Vol 03
Duration: 5:57
Lyrics: Nasir Kaazmi

Download Link: http://www.mediafire.com/?uiowipb0cn9

Complete Lyrics:

Neeyat-e-Shouq bhar na jaaye kahin
Tuu bhi dil se utar na jaaye kahin

Aaj dekha hai tujh ko deyr key baad
Aaj ka din guzar na jaaye kahin

Na mila ker udaas logoN se
Husn tera bikher na jaaye kahin

Aao kuch deyr ro hi leyN nasir
Phir yeh dariya utar na jaye kahin

Neeyat-e-Shouq bhar na jaaye kahin
Tuu bhi dil se utar na jaaye kahin

Maikadah Saaz Hun Mein

great Ghazal written by one of the 'Ustads' of urdu language. I hope you will enjoy this.

Name: Maikadah Saaz Hun Mein
Album: Live In UK Vol 03
Duration: 10:30
Lyrics: Jiger Muraad Aabadi

Download Link: http://www.mediafire.com/?dqkbvg3yjky

Complete Lyrics:

Shaam-e-firaaq zikr-e-jawani mein kat gayi
kiaa raat thi key aik kahani mein kat hayi

Rind jo mujh ko samajhte hain unheN hosh nahin
Maikadah Saaz huN mein, Maikadah bardosh nahin

Main koi rind nahin is liye peeta hun sharab
Key teri soorat nazar aati hai paimaane mein
Jaam tharrane lage urr gayi botal se sharab
Be wuzu aa gaya shayed koi maikhaane mein

Mehv-e-tasbeeh to sabhi hain magar idraak kahan?
Zindagi khud hi ibaadat hai magar hosh nahin

Jab tak bika na tha koi poochta na tha
Tuu ne mujhe khareed ker anmol ker diya

Main teri mast nigaahi ka bharam rakh lun ga
Hosh aaya bhi to keh dun ga mujhe hosh nahin

Kuch iss ada se aaj woh pehloo nsheen rahe
Jab tak humaare pass rahe hum nahin rahe

Uth key pehloo se gaya hai koi jis dam se Jiger
Mujh ko yeh wehem hai jaise mera aaghosh nahin

Andhi Chali

Name: Andhi Chali
Album: Live In UK Vol 03
Duration: 11:17
Lyrics: Mustafa Zaidi

Download Link: http://www.mediafire.com/?ttfmit9fzxn

Complete Lyrics:

Aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-paa nahin mila
Dil jis se mil gaya woh dobara nahin mila

Phoolon se zakham khaaye to kaanton se si diye
Yeh bhi rafo gari ki ajeeb misaal hai

Hum anjuman mein sab ki taraf dekhtey rahe
Apni tarah se koi akelaa nahin mila

Nadi kinaare dhuaaN UThey, Main jaanuN kuch hoye
Jis kaaran mein jogan bani kahin woh hi na jalta hoye

Awaz dun to kon samajhta key duur duur
KhaamoshioN ka dard shanaasa nahin mila

Kache gharey ne jeet li nadi chaRhi hui
Mazboot kashtiyoN ko kinaara nahin mila

Ji Chahe

Name: Ji Chahe
Album: Raqs-e-Bismil
Duration: 10:36
Lyrics: Jiger Muraad Abadi

Download Link: http://www.mediafire.com/?bmq1wifckuf

Complete Lyrics:

Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe

Apna he aqs pesh-e-nazar dekhte rahe
Apna he aqs pesh-e-nazar dekhte rahe
Aaina roo-ba-roo tha jidhar dekhte rahe
Aaina roo-ba-roo tha jidhar dekhte rahe

Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe

Un ki hareem-e-naaz kahaan aur hum kahaan
Un ki hareem-e-naaz kahaan aur hum kahaan
Naqsh-o-nigar-e-parda-e-dar dekhte rahe
Naqsh-o-nigar-e-parda-e-dar dekhte rahe

Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe

Aisi bhi kuch firaq ki raateiN guzar gayeiN
Aisi bhi kuch firaq ki raateiN guzar gayeiN
Jaise unheN ko pesh-e-nazar dekhte rahe
Jaise unheN ko pesh-e-nazar dekhte rahe

Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe
Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe

Har lehza shaan-e-husn badalti rahii jiger
Har lehza shaan-e-husn badalti rahii jiger
Har aan hum jahan-e-digar dekhte rahe
Har aan hum jahan-e-digar dekhte rahe

Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe

Zahid Ne

Name: Zahid Ne
Album: Raqs-e-Bismil
Duration: 7:33

Download Link: http://www.mediafire.com/?3bzrqtuttuq

Complete Lyrics:

Us ka mukh ik jot hai,
Ghoongat hai sansaar,
Ghoongat mein woh chup gaya,
Mukh par anchal daal

zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha
zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshaan nahin dekha

Har haal mein bas pesh-e-nazar hai wohi soorat
Har haal mein bas pesh-e-nazar hai wohi soorat
Main ne kabhi roo-e-shab-e-hijran nahin dekha
Main ne kabhi roo-e-shab-e-hijran nahin dekha

Rukh par teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha

Aye thay sabhi tarhaa ke jalway mere aage
Aye thay sabhi tarhaa ke jalway mere aage
Main ne magar ae deeda-e-hairaan nahin dekha
Main ne magar ae deeda-e-hairaan nahin dekha

zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshaan nahin dekha

Kya kya hua hungaam-e-junooN yeh nahi maloom
Kya kya hua hungaam-e-junooN yeh nahi maloom
Kuch hosh jo aya to garebaan nahiN dekha

Roshan Jamal-e-Yaar

Name: Roshan Jamal-e-Yaar
Album: Raqs-e-Bismil
Duration: 08:24
Lyrics: Maulana Hasrat Mohani

Download Link: http://www.mediafire.com/?k2qs23jkjqv

Complete Lyrics:

Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam

Hairat ghuroor-e-husn se, shoukhi se izterab
Hairat ghuroor-e-husn se, shoukhi se izterab
Hairat ghuroor-e-husn se, shoukhi se izterab
Dil ne bhi tere seekh liye hai chalan tamam
Dil ne bhi tere seekh liye hai chalan tamam

Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam

Allah re jism-e-yaar ki khoobi key khud ba khud
Allah re jism-e-yaar ki khoobi key khud ba khud
Allah re jism-e-yaar ki khoobi key khud ba khud
RangeenioN mein Doob gaya pairahan tamam
RangeenioN mein Doob gaya pairahan tamam

Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam

Dekho to chashm-e-yaar ki jadoo nigahiaN
Dekho to chashm-e-yaar ki jadoo nigahiaN
Dekho to chashm-e-yaar ki jadoo nigahiaN
Be-hosh ik nazar mein hui anjuman tamam
Be-hosh ik nazar mein hui anjuman tamam

Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam

Sheereni-e-naseem hai soz-o-gudaz-e-meer
Sheereni-e-naseem hai soz-o-gudaz-e-meer
Sheereni-e-naseem hai soz-o-gudaz-e-meer
Hasrat tere sukhan pe hai lutf-e-sukhan tamam
Hasrat tere sukhan pe hai lutf-e-sukhan tamam

Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam