Tuesday, April 21, 2009

Gul Huyi Jaati Hai

Name: Gul Huyi Jaati Hai
Album: Faiz By Abida Parveen
Duration: 07:49
Written By: Faiz Ahmed Faiz

Download Link: http://www.mediafire.com/?y5ht2yke2j5

Complete Lyrics:

Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Dhul key nikley gi abhi shashma-e-mehtaab se raat
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Gul Hui jaati hai...

Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Aur mushtaq nigahoN ki suni jaye gi
Aur mushtaq nigahoN ki suni jaye gi
Aur un hathon se mas hoN gey yeh tarse huey hath
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Gul Hui jaati hai...

Un ka aNchal hai key rukhsar key pairahan hai
Kuch to hai jis hui jati hai chilman rangeeN
Jane us zulf ki mohoom ghani chaoN mein
TimTimata hai woh aveza abhi tak key nahiN
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Gul Hui jaati hai...

Aaj phir husn-e-dillara ki wohi dhaj hogi
Aaj phir husn-e-dillara ki wohi dhaj hogi
Wohi khwabeeda si aankhen wohi kajal ki lakeer
Rang-e-rukhsar pe halka sa woh ghaze ka ghubaar
sandali haath pe dhundli hi hina ki tehreer
Apne afkar ki, ashaar ki, duniya hai yehi
Jaan-e-mazmooN hai yehi, Shahid-e-ma'ana hai yehi
Apna mouzo-e-sukhan in key siwa aur nahin
Tab-e-Shayer ka batan in key siwa aur nahin

Yeh khooN ki mehek hai ya lab-e-yaar ki khushboo
Yeh khooN ki mehek hai ya lab-e-yaar ki khushboo
Kis rah ki jaanib se saba aati hai dekho

Gulshan mein bahar aai key zindaN hua aabad
Kis samt se naghmoN ki sada aati hai dekho
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Dhul key nikley gi abhi shashma-e-mehtaab se raat
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Gul Hui jaati hai...

1 comment:

  1. Rida ji salamwlekum. Apne ye jo tahreer yahan par banaya hai, wo kisi fine art se kam nahin hai. Me to suru se Abida ji ke fan raha hun ab apki bayankari ne bhi mujh par kafi ashar dhaya hai. Me teh-e-dil se apki sukriyada karna chahunga. Umeed hai aap ainda bhi hume yese khubsoorat ghazlein padhne ki mouka denge our is blog me yuhin apke apni andaaz me likhte rehenge.

    ReplyDelete