Tuesday, April 21, 2009

Main hosh mein hoon

Name: Main hosh mein hoon
Album: Ishq Mastaana
Duration: 7:20
Lyrics: Hazrat Zaheen Shah Taaji

Download Link: http://www.mediafire.com/?4ms9z3nwq73

Complete Lyrics:

Main hosh mein hun to tera hun, Deewana hun to tera hun
Hun raaz ager to tera hun, afsaana hun to tera hun

Barbaad kiya barbaad hua, aabad kiya aabad hua
veerana hun to tera hun, Kaashaana hun to tera hun

Tuu mere kaif ki duniya hai, tuu meri masti ka aalam
Paimaana hun to tera hun, Maikhaana hun to tera hun

Har Zarra Zaheen ki hasti ka, Tasveer hai teri sar-ta-paa
O kaaba-e-dil dhaane wale, butt khaana hun to tera hun

No comments:

Post a Comment