Tuesday, April 21, 2009

Jab se tuu ne mujhe

This is the rare version of 'Jab se tuu ne' and probably the longest one.

Name: Jab se tuu ne mujhe
Album: Live In UK Vol 03
Duration: 18:00
Lyrics: Nasir Kaazmi

Download Link: http://www.mediafire.com/?qhysr66hlw5

Complete Lyrics:

Kisi ka kia jo kadmoN per jabeen-e-bandagi rakh di
Humaari cheez thi hum ne jahan jaani wahan rakh di
Jo dil maanga to woh bole key thehro yaad kerne do
Zara si cheez thi hum ne khuda jaane kahan rakh di

Nadi kinaare dhuaaN uthey mein jaanoN kuch hoye
Jis kaaran mein jogan bani kahin woh hi na jalta hoye

Jab se too ne mujhe Deewana bana rakha hai
Sang har shakhs ne haathon mein utha rakha hai

Misaal-e-saada waraq tha magar kitaab mein tha
Woh din bhi they mein tere ishq key nisaab mein tha

Tulsi aisi preet na ker jaisi lambi khujoor
Dhoop lage to chaoN nahin bhook lage phal duur

Us key dil per bhi kari ishq mein guzri ho gi
Naam jis ne bhi mohabbat ka sazaa rakha hai

More nainan mein, main palak dhaamp tohe leeyuN
Na mein dekhun aur ko, aur na tohe dekhan deyuN

Duniya bari baanwari pathar poojane jaaye
Gher ki chakki koi na pooje jis ka peesa khaye

Patharo aaj mere sar pe baraste kion ho?
Main ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai

Mar bhi jaon to dafna dena maikhane mein
Ta ke maikhane ki mitti rahe maikhane mein

Khudaya peene waloN ki kahin basti juda hoti
Jahan hukman peeya kerte na peete to saza hoti

Pee ja aayam ki talkhi ko bhi hans key naasir
Gham ko sehne mein bhi kudrat ne maza rakha hai

Neeyat-e-Shouq

Name: Neeyat-e-Shouq
Album: Live In UK Vol 03
Duration: 5:57
Lyrics: Nasir Kaazmi

Download Link: http://www.mediafire.com/?uiowipb0cn9

Complete Lyrics:

Neeyat-e-Shouq bhar na jaaye kahin
Tuu bhi dil se utar na jaaye kahin

Aaj dekha hai tujh ko deyr key baad
Aaj ka din guzar na jaaye kahin

Na mila ker udaas logoN se
Husn tera bikher na jaaye kahin

Aao kuch deyr ro hi leyN nasir
Phir yeh dariya utar na jaye kahin

Neeyat-e-Shouq bhar na jaaye kahin
Tuu bhi dil se utar na jaaye kahin

Maikadah Saaz Hun Mein

great Ghazal written by one of the 'Ustads' of urdu language. I hope you will enjoy this.

Name: Maikadah Saaz Hun Mein
Album: Live In UK Vol 03
Duration: 10:30
Lyrics: Jiger Muraad Aabadi

Download Link: http://www.mediafire.com/?dqkbvg3yjky

Complete Lyrics:

Shaam-e-firaaq zikr-e-jawani mein kat gayi
kiaa raat thi key aik kahani mein kat hayi

Rind jo mujh ko samajhte hain unheN hosh nahin
Maikadah Saaz huN mein, Maikadah bardosh nahin

Main koi rind nahin is liye peeta hun sharab
Key teri soorat nazar aati hai paimaane mein
Jaam tharrane lage urr gayi botal se sharab
Be wuzu aa gaya shayed koi maikhaane mein

Mehv-e-tasbeeh to sabhi hain magar idraak kahan?
Zindagi khud hi ibaadat hai magar hosh nahin

Jab tak bika na tha koi poochta na tha
Tuu ne mujhe khareed ker anmol ker diya

Main teri mast nigaahi ka bharam rakh lun ga
Hosh aaya bhi to keh dun ga mujhe hosh nahin

Kuch iss ada se aaj woh pehloo nsheen rahe
Jab tak humaare pass rahe hum nahin rahe

Uth key pehloo se gaya hai koi jis dam se Jiger
Mujh ko yeh wehem hai jaise mera aaghosh nahin

Andhi Chali

Name: Andhi Chali
Album: Live In UK Vol 03
Duration: 11:17
Lyrics: Mustafa Zaidi

Download Link: http://www.mediafire.com/?ttfmit9fzxn

Complete Lyrics:

Aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-paa nahin mila
Dil jis se mil gaya woh dobara nahin mila

Phoolon se zakham khaaye to kaanton se si diye
Yeh bhi rafo gari ki ajeeb misaal hai

Hum anjuman mein sab ki taraf dekhtey rahe
Apni tarah se koi akelaa nahin mila

Nadi kinaare dhuaaN UThey, Main jaanuN kuch hoye
Jis kaaran mein jogan bani kahin woh hi na jalta hoye

Awaz dun to kon samajhta key duur duur
KhaamoshioN ka dard shanaasa nahin mila

Kache gharey ne jeet li nadi chaRhi hui
Mazboot kashtiyoN ko kinaara nahin mila

Ji Chahe

Name: Ji Chahe
Album: Raqs-e-Bismil
Duration: 10:36
Lyrics: Jiger Muraad Abadi

Download Link: http://www.mediafire.com/?bmq1wifckuf

Complete Lyrics:

Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe

Apna he aqs pesh-e-nazar dekhte rahe
Apna he aqs pesh-e-nazar dekhte rahe
Aaina roo-ba-roo tha jidhar dekhte rahe
Aaina roo-ba-roo tha jidhar dekhte rahe

Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe

Un ki hareem-e-naaz kahaan aur hum kahaan
Un ki hareem-e-naaz kahaan aur hum kahaan
Naqsh-o-nigar-e-parda-e-dar dekhte rahe
Naqsh-o-nigar-e-parda-e-dar dekhte rahe

Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe

Aisi bhi kuch firaq ki raateiN guzar gayeiN
Aisi bhi kuch firaq ki raateiN guzar gayeiN
Jaise unheN ko pesh-e-nazar dekhte rahe
Jaise unheN ko pesh-e-nazar dekhte rahe

Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe
Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe

Har lehza shaan-e-husn badalti rahii jiger
Har lehza shaan-e-husn badalti rahii jiger
Har aan hum jahan-e-digar dekhte rahe
Har aan hum jahan-e-digar dekhte rahe

Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Kia dekhte hum un ko magar dekhte rahe

Zahid Ne

Name: Zahid Ne
Album: Raqs-e-Bismil
Duration: 7:33

Download Link: http://www.mediafire.com/?3bzrqtuttuq

Complete Lyrics:

Us ka mukh ik jot hai,
Ghoongat hai sansaar,
Ghoongat mein woh chup gaya,
Mukh par anchal daal

zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha
zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshaan nahin dekha

Har haal mein bas pesh-e-nazar hai wohi soorat
Har haal mein bas pesh-e-nazar hai wohi soorat
Main ne kabhi roo-e-shab-e-hijran nahin dekha
Main ne kabhi roo-e-shab-e-hijran nahin dekha

Rukh par teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha

Aye thay sabhi tarhaa ke jalway mere aage
Aye thay sabhi tarhaa ke jalway mere aage
Main ne magar ae deeda-e-hairaan nahin dekha
Main ne magar ae deeda-e-hairaan nahin dekha

zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshaan nahin dekha

Kya kya hua hungaam-e-junooN yeh nahi maloom
Kya kya hua hungaam-e-junooN yeh nahi maloom
Kuch hosh jo aya to garebaan nahiN dekha

Roshan Jamal-e-Yaar

Name: Roshan Jamal-e-Yaar
Album: Raqs-e-Bismil
Duration: 08:24
Lyrics: Maulana Hasrat Mohani

Download Link: http://www.mediafire.com/?k2qs23jkjqv

Complete Lyrics:

Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam

Hairat ghuroor-e-husn se, shoukhi se izterab
Hairat ghuroor-e-husn se, shoukhi se izterab
Hairat ghuroor-e-husn se, shoukhi se izterab
Dil ne bhi tere seekh liye hai chalan tamam
Dil ne bhi tere seekh liye hai chalan tamam

Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam

Allah re jism-e-yaar ki khoobi key khud ba khud
Allah re jism-e-yaar ki khoobi key khud ba khud
Allah re jism-e-yaar ki khoobi key khud ba khud
RangeenioN mein Doob gaya pairahan tamam
RangeenioN mein Doob gaya pairahan tamam

Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam

Dekho to chashm-e-yaar ki jadoo nigahiaN
Dekho to chashm-e-yaar ki jadoo nigahiaN
Dekho to chashm-e-yaar ki jadoo nigahiaN
Be-hosh ik nazar mein hui anjuman tamam
Be-hosh ik nazar mein hui anjuman tamam

Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam

Sheereni-e-naseem hai soz-o-gudaz-e-meer
Sheereni-e-naseem hai soz-o-gudaz-e-meer
Sheereni-e-naseem hai soz-o-gudaz-e-meer
Hasrat tere sukhan pe hai lutf-e-sukhan tamam
Hasrat tere sukhan pe hai lutf-e-sukhan tamam

Roshan Jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam

Mujhe Bekhudi

Name: Mujhe Bekhudi
Album: Raqs-e-Bismil
Duration: 10:13

Download Link: http://www.mediafire.com/?rgk2v45md2y

Complete Lyrics:

Maulaaaa...
Hairat maraaz-e-har do jahan, bhi niaz tar
Ein khwab taar-e-daulat-e-beedaar-e-mi kunad

Khuli jab ke chashm-e-dil-e-hazeen
Khuli jab ke chashm-e-dil-e-hazeen
To woh nam raha na tarii rahee

Hui hairat aisee kuchh aankh par
Hui hairat aisee kuchh aankh par
be-asar ki be-asarii rahee

padi gosh-e-jaan me ajab nida
padi gosh-e-jaan me ajab nida
ke jigar na be-jigaree rahee

Khabar-e-tahiyyur-e-ishq se
Na junoon raha na pari rahee
Na to tuu raha na to main raha
Jo rahee so be-khabarii rahee

Mujhe bekhudi yeh tu ne, bhali chaashni chakhaee
Kisi aarzoo ki dil mein, nahiN ab rahi samaaee

Mujhe bekhudi yeh tu ne...

Na hazar hai nay khatar hai, na raja hai nay dua hai
Na khayal-e-bandagi hai, na tamanna-e-khudaaee

Mujhe bekhudi yeh tu ne...
Mujhe bekhudi yeh tu ne, bhali chaashni chakhaee

Na maqaam-e-guftuguu hai, na mahal-e-justujuu hai
Na wahaaN havaas puhunchaiN, na khirad ko hai rasaaee

Mujhe bekhudi yeh tu ne...
Na wahaaN havaas puhunchaiN, na khirad ko hai rasaaee

Na makeeN hai nay makaaN hai, na zameeN hai nay zamaaN hai
Dil-e-benawa ne merey, wahan chhaavne hai chhaaee

Mujhe bekhudi yeh tu ne...
Dil-e-benawa ne merey, wahan chhaavne hai chhaaee

Na visaal hai na hijraaN, na suroor hai na gham hai
Jise kahiye khwaab-e-ghaflat, so woh neend mujh ko aaee

Mujhe bekhudi yeh tu ne...
Jise kahiye khwaab-e-ghaflat, so woh neend mujh ko aaee

Mujhe bekhudi yeh tu ne, bhali chaashni chakhaee

Ji Chahe

Name: Ji Chahe
Album: Raqs-e-Bismil
Duration: 10:36
Lyrics: Hazrat Zaheen Shahtaji, Hazrat Shah Niaz

Download Link: http://www.mediafire.com/?vefthe6s2fu

Complete Lyrics:

Hori hoye rahi hai, Ahmad jiya ke duaar
Hori hoye rahi hai, Ahmad jiya ke duaar
Hajrat Ali ka rang bana hai, Hasan Hussain khilaar
Hori hoye rahi hai, Ahmad jiya ke duaar
Hori hoye rahi hai, Ahmad jiya ke duaar

Aiso hori ke dhoom machi hai,
Aiso hori ke dhoom machi hai
Chahun orr paRi hai pukaar
Aiso anokho chatura khiladi, rang diinyo sansaar

Niaz pyara bhar bhar chidke,
Niaz pyara bhar bhar chidke,
Ek hi rang sahas pichkaar
Hori hoye rahi hai, Ahmad jiyo ke dwaar

Ji chahe to sheesha ban ja,
Ji chahe paimana ban ja
Sheesha paimana kya ban'na,
Mai ban ja maikhana ban ja

Ji chahe to sheesha ban ja,
Ji chahe paimana ban ja
Sheesha paimana kya ban'na,
Mai ban ja maikhana ban ja

Mai bar kar, maikhana ban kar
Masti ka afsana ban ja
Masti ka afsana bankar
Hasti se begaana ban ja
Hasti se begaana hona
Masti ka afsana ban'na
Is hone se is ban'ne se
Acha hai deewana ban ja
Hasti se begaana hona
Masti ka afsana ban'na
Is hone se is ban'ne se
Acha hai deewana ban ja

Deewana ban jane se bhi
Deewana hona achha hai
Deewana ban jane se bhi
Deewana hona achha hai
Deewana hone se achha
Khak-e-dar-e-janaana ban ja

Khak-e-dar-e-janana kya hai?
Ahl-e-dil ki aankh ka surma
Khak-e-dar-e-janana kya hai?
Ahl-e-dil ki aankh ka surma
Shama ke dil ki thandak ban ja
Noor-e-dil-e-parwana ban ja

Seekh 'Zaheen' ke dil se jalna
Kahe ko har sham'ma par jalna
Seekh 'Zaheen' ke dil se jalna
Kahe ko har sham'ma par jalna
Apni aag mein khud jal jaye
Tu aisa parwana ban ja
Apni aag mein khud jal jaye
Tu aisa parwana ban ja

Seekh 'Zaheen' ke dil se jalna
Seekh 'Zaheen' ke dil se jalna
Tu aisa parwana ban ja

Ishq Mein Tere

Name: Ishq Mein Tere
Album: Raqs-e-Bismil
Duration: 7:12

Download Link: http://www.mediafire.com/?hxlntrwvw0t

Complete Lyrics:

Aaj jaan-e-aashiqaaN strast hijrat mee kushat
tasnadeeda dar jehaan juz kushtagan-e-qarbala

Ishq main tere koh-e-ghum, ser pe liya jo ho so ho
Ishq main tere koh-e-ghum, ser pe liya jo ho so ho
Aish-o-Nishaat-e-zindagee, chhod diya jo ho so ho
Aish-o-Nishaat-e-zindagee, chhod diya jo ho so ho

Ishq main tere koh-e-ghum...

Aql ke madarasey se uTh, ishq ke maikadey meiN aa
Aql ke madarasey se uTh, ishq ke maikadey meiN aa
Jaam-e-fana-o-bekhudi, ab to piya jo ho so ho
Jaam-e-fana-o-bekhudi, ab to piya jo ho so ho

Ishq main tere koh-e-ghum...

Hijr kee jo museebateiN, arz keeN us ke roo-ba-roo
Hijr kee jo museebateiN, arz keeN us ke roo-ba-roo
Naaz-o-adaa se muskura, kehne laga jo ho so ho
Naaz-o-adaa se muskura, kehne laga jo ho so ho

Hasti ke is saraab main, raat kee raat bas rahe
Hasti ke is saraab main, raat kee raat bas rahe
Subh-e-adam hua namoo, paaoN uTha jo ho so ho
Subh-e-adam hua namoo, paaoN uTha jo ho so ho

Jaam-e-fana-o-bekhudi, ab to piya jo ho so ho
Jaam-e-fana-o-bekhudi, ab to piya jo ho so ho

Chhap Tilak Sab

Name: Chhap Tilak Sab
Album: Jahan-e-Khusrau
Duration: 10:24
Written By: Hazrat Ameer Khusrau

Download Link: http://www.mediafire.com/?hfx7yudoxly

Complete Lyrics:

Apni Chap banayi key jo mein pee key pass gayi
Ho chap dekhi peeoo ki to apni bhool gayi

Chhap tilak sab cheeni ray mosay naina milaikay

Tuu mila bhi hai tuu juda bhi hai tera kia kehna
Tuu sanam bhi hai tuu khuda bhi hai tera kia kehna

Chhap tilak sab cheeni ray mosay naina milaikay

Jo tuu mange rang ki rangayi
Mora joban girvi rakh le

Chhap tilak sab cheeni ray mosay naina milaikay

Bal bal jaaon mein toray rang rajwa
Apni see kar leeni ray mosay naina milaikay
Naina Milayi ke
Baat adham keh di re
Mose naina milayi key

Chhap tilak sab cheeni ray mosay naina milaikay

Jo tuu mange rang ki rangayi Mora joban girvi rakh le
Humri Chunariya piya ki pagariya arey dono basanti rang de

Prem bhatee ka madhva pilaikay
Matvali kar leeni ray mosay naina milaikay
Khusrau Nijaam kay bal bal jayyiye

Dhan Dhan bhaag una key more sajni
jin aiso sundar preetam payo
khelo re chishtiyo hori khelo
Khaaja Nijaam-o-Deen key bheys mein aayo

Chhap tilak sab cheeni ray mosay naina milaikay

Yeh Jafaa-e-Gham Ka Chaara

Name: Yeh Jafaa-e-Gham Ka Chaara
Album: Faiz By Abida Parveen
Duration: 09:51
Written By: Faiz Ahmed Faiz

Download Link: http://www.mediafire.com/?bsphnrei42n

Complete Lyrics:

Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Tera husn dast-e-eesa, Teri yaad roo-e-mariyam
Tera husn dast-e-eesa, Teri yaad roo-e-mariyam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara...

Dil-o-jaaN fida-e-rah-e, kabhi aa key dekh humdum
Dil-o-jaaN fida-e-rah-e, kabhi aa key dekh humdum
sar-e-koo-e-dil figaraN, shab-e-aarzoo ka aalam
sar-e-koo-e-dil figaraN, shab-e-aarzoo ka aalam

Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Tera husn dast-e-eesa, Teri yaad roo-e-mariyam

Teri deed se siwa hai, tere shouq mein baharaN
Teri deed se siwa hai, tere shouq mein baharaN
Woh chaman jahan giri hai, tere gaysuu'oN ki shabnam
Woh chaman jahan giri hai, tere gaysuu'oN ki shabnam

Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Tera husn dast-e-eesa, Teri yaad roo-e-mariyam

Lo suni gayi humari, Yun phirey hain din key phir se
Lo suni gayi humari, Yun phirey hain din key phir se
wohi gosha-e-qafas hai, wohi fasl-e-gul ka matam
wohi gosha-e-qafas hai, wohi fasl-e-gul ka matam

Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Tera husn dast-e-eesa, Teri yaad roo-e-mariyam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam

Yeh ajab qayamateiN haiN, teri rahguzar mein guzraN
Yeh ajab qayamateiN haiN, teri rahguzar mein guzraN
Na hua key mar miTeiN hum, na hua key jee uTheiN hum
Na hua key mar miTeiN hum, na hua key jee uTheiN hum

Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Tera husn dast-e-eesa, Teri yaad roo-e-mariyam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara, woh najat-e-dil ka aalam
Yeh jafaa-e-gham ka chaara...

Woh Jiski Deed Mein

Name: Woh Jiski Deed Mein
Album: Faiz By Abida Parveen
Duration: 7:24
Written By: Faiz Ahmed Faiz

Download Link: http://www.mediafire.com/?ogaop49rtyd

Complete Lyrics:

Woh jis ki deed mein lakhoN massarateiN pinhaN
Woh jis ki deed mein lakhoN massarateiN pinhaN
Woh husn jis ki tamana mein jan'nateiN pinhaN
Woh jis ki deed mein lakhoN massarateiN pinhaN

Hazar fitne tah-e-paa-e-naaz, khak nasheeN
Hazar fitne tah-e-paa-e-naaz, khak nasheeN
Her ik nigah khumaar-e-shabab se rangeeN
Woh jis ki deed mein lakhoN massarateiN pinhaN

Shabab jis se takhayyul pe bijjlliaN barseyN
Shabab jis se takhayyul pe bijjlliaN barseyN
Waqar, jis ki rafaqat ko shoukhiaN tarseyN

Ada-e-laghzish-e-paa per qayamateiN qurbaN
Bayaaz-e-rukh pe seher ki sabahateiN qurbaN
Woh jis ki deed mein lakhoN massarateiN pinhaN

Siyah zulfoN mein varafta nik'hatoN ka hujoom
Taveel raatoN ki khwabeeda rahatoN ka hujoom
Woh jis ki deed mein lakhoN massarateiN pinhaN

Woh aankh jis key banaao pey khaliq itraaye
Woh aankh jis key banaao pey khaliq itraaye
Zaban-e-sher ko tareef kertey sharm aaye
Woh jis ki deed mein lakhoN massarateiN pinhaN

Gudaz jism, qabaa jis pe saj key naaz karey
Gudaz jism, qabaa jis pe saj key naaz karey
Daraz qad jise sarv-e-sahi namaz karey
Daraz qad jise sarv-e-sahi namaz karey
Woh jis ki deed mein lakhoN massarateiN pinhaN

Kisi zamane mein is rahguzar se guzra tha
Kisi zamane mein is rahguzar se guzra tha
Basad ghurror-o-tajamul, idher se guzra tha
Basad ghurror-o-tajamul, idher se guzra tha
Woh jis ki deed mein lakhoN massarateiN pinhaN

Aur ab yeh rahguzar bhi hai dil-fareb-o-haseeN
Aur ab yeh rahguzar bhi hai dil-fareb-o-haseeN
Hai us ki khak mein kaif-e-sharab-o-sher makeeN
Hawa mein Shoukhi-e-rafta ki adaeiN haiN
Hawa mein Shoukhi-e-rafta ki adaeiN haiN
Faza mein narmi-e-guftaar ki sadaeiN haiN

Woh jis ki deed mein lakhoN massarateiN pinhaN
Woh husn jis ki tamana mein jan'nateiN pinhaN

Shaam-e-Firaaq

Name: Shaam-e-Firaaq
Album: Faiz By Abida Parveen
Duration: 8:30
Written By: Faiz Ahmed Faiz

Download Link: http://www.mediafire.com/?l4ozohfyr0h

Complete Lyrics:

Sham-e-firaq ab na pooch. aai aur aa ke Tal gayi
Dil tha key phir behel gaya, jaaN thi key phir sambhal gayi
Sham-e-firaq ab na pooch. aai aur aa ke Tal gayi

Bazm-e-khayyal mein tere husn ki sham'ma jal gayi
Bazm-e-khayyal mein tere husn ki sham'ma jal gayi
Dard ka chand bujh gaya, hijr ki raat dhal gayi
Dard ka chand bujh gaya, hijr ki raat dhal gayi

Sham-e-firaq ab na pooch...

Jab tujhe yaad ker liya sub'ho mehek mehek uThi
Jab tujhe yaad ker liya sub'ho mehek mehek uThi
Jab tera gham jaga liya, raat machal machal gayi
Jab tera gham jaga liya, raat machal machal gayi

Sham-e-firaq ab na pooch. aai aur aa ke Tal gayi
Sham-e-firaq ab na pooch...

Dil se to her muamla ker ke chaley they saaf hum
Dil se to her muamla ker ke chaley they saaf hum
Kehne mein un key samne, baat badal badal gayi
Kehne mein un key samne, baat badal badal gayi

Sham-e-firaq ab na pooch. aai aur aa ke Tal gayi
Sham-e-firaq ab na pooch...

Aakhir-e-shab key humsafar Faiz najane kia huey
Aakhir-e-shab key humsafar Faiz najane kia huey
Reh gayi kis jagah saba, sub'ho kidher nikal gayi

Sham-e-firaq ab na pooch. aai aur aa ke Tal gayi
Dil tha key phir behel gaya, jaaN thi key phir sambhal gayi

Nahin Nigah Mein

Name: Nahin Nigah Mein
Album: Faiz By Abida Parveen
Duration: 8:47
Written By: Faiz Ahmed Faiz

Download Link: http://www.mediafire.com/?9oh5z74nz9f

Complete Lyrics:

Nahin nigah mein manzil to justujoo hi sahi
Nahin nigah mein manzil to justujoo hi sahi
Nahin visaal muuyyaassar to aarzoo hi sahi
Nahin nigah mein manzil to justujoo hi sahi
Nahin visaal muuyyaassar to aarzoo hi sahi
Nahin nigah mein manzil to justujoo hi sahi

Na tan mein khoon faraham na ashk aankhoN meiN
Na tan mein khoon faraham na ashk aankhoN meiN
Namaz-e-shouq to wajib hai be-wuzoo hi sahi
Namaz-e-shouq to wajib hai be-wuzoo hi sahi

Nahin visaal muuyyaassar to aarzoo hi sahi
Nahin nigah mein manzil to justujoo hi sahi

Kisi tarah to jame bazm maikadeh walo
Kisi tarah to jame bazm maikadeh walo
Nahin jo baada-o-saaghar to haa-o-hoo hi sahi
Nahin jo baada-o-saaghar to haa-o-hoo hi sahi

Nahin visaal muuyyaassar to aarzoo hi sahi
Nahin nigah mein manzil to justujoo hi sahi
Nahin nigah mein manzil to justujoo hi sahi

Gar intezaar kaThin hai to jab talak ae dil!
Gar intezaar kaThin hai to jab talak ae dil!
Kisi ke waada-e-farda ki guftagoo hi sahi
Kisi ke waada-e-farda ki guftagoo hi sahi

Nahin visaal muuyyaassar to aarzoo hi sahi
Nahin nigah mein manzil to justujoo hi sahi

Dayar-e-Ghair mein mehram ager nahin koi
Dayar-e-Ghair mein mehram ager nahin koi
To Faiz zikr-e-watan apne roo ba roo hi sahi
To Faiz zikr-e-watan apne roo ba roo hi sahi

Nahin visaal muuyyaassar to aarzoo hi sahi
Nahin nigah mein manzil to justujoo hi sahi

Humne Sab Sher Mein

Name: Humne Sab Sher Mein
Album: Faiz By Abida Parveen
Duration: 07:33
Written By: Faiz Ahmed Faiz

Download Link: http://www.mediafire.com/?kgplrwpyxlk

Complete Lyrics:

Humne sab sher mein saNwarey they
Humne sab sher mein saNwarey they
Hum se jitne sukhan tumhare they
Hum se jitne sukhan tumhare they

Humne sab sher mein saNwarey they
Humne sab sher mein saNwarey they
Hum se jitne sukhan tumhare they
Hum se jitne sukhan tumhare they

Humne sab sher mein saNwarey they
Humne sab sher mein saNwarey they

Rang-o-khushboo key, husn-o-khoobi key
Rang-o-khushboo key, husn-o-khoobi key
Tum se they jitney iste'aarey they
Tum se they jitney iste'aarey they

Humne sab sher mein saNwarey they
Humne sab sher mein saNwarey they

Tere qoul-o-qarar se pehle
Tere qoul-o-qarar se pehle
Apne kuch aur bhi saharey they
Apne kuch aur bhi saharey they

Humne sab sher mein saNwarey they
Hum se jitne sukhan tumhare they
Hum se jitne sukhan tumhare they

Mere daman meiN aa girey sarey
Mere daman meiN aa girey sarey
Jitne tasht-e-falak mein taarey they
Jitne tasht-e-falak mein taarey they

Humne sab sher mein saNwarey they

Jo saaye duur charaghon key gird larzaN haiN
Jo saaye duur charaghon key gird larzaN haiN
Na jaane mehfil-e-gham hai key bazm-e-jaam-o-subuu
Jo rang her dar-o-deewar per pareeshaN hai
Yahan se kuch nahin khulta key yeh phool haiN ya lahoo

Humne sab sher mein saNwarey they
Humne sab sher mein saNwarey they
Hum se jitne sukhan tumhare they
Hum se jitne sukhan tumhare they

Gul Huyi Jaati Hai

Name: Gul Huyi Jaati Hai
Album: Faiz By Abida Parveen
Duration: 07:49
Written By: Faiz Ahmed Faiz

Download Link: http://www.mediafire.com/?y5ht2yke2j5

Complete Lyrics:

Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Dhul key nikley gi abhi shashma-e-mehtaab se raat
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Gul Hui jaati hai...

Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Aur mushtaq nigahoN ki suni jaye gi
Aur mushtaq nigahoN ki suni jaye gi
Aur un hathon se mas hoN gey yeh tarse huey hath
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Gul Hui jaati hai...

Un ka aNchal hai key rukhsar key pairahan hai
Kuch to hai jis hui jati hai chilman rangeeN
Jane us zulf ki mohoom ghani chaoN mein
TimTimata hai woh aveza abhi tak key nahiN
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Gul Hui jaati hai...

Aaj phir husn-e-dillara ki wohi dhaj hogi
Aaj phir husn-e-dillara ki wohi dhaj hogi
Wohi khwabeeda si aankhen wohi kajal ki lakeer
Rang-e-rukhsar pe halka sa woh ghaze ka ghubaar
sandali haath pe dhundli hi hina ki tehreer
Apne afkar ki, ashaar ki, duniya hai yehi
Jaan-e-mazmooN hai yehi, Shahid-e-ma'ana hai yehi
Apna mouzo-e-sukhan in key siwa aur nahin
Tab-e-Shayer ka batan in key siwa aur nahin

Yeh khooN ki mehek hai ya lab-e-yaar ki khushboo
Yeh khooN ki mehek hai ya lab-e-yaar ki khushboo
Kis rah ki jaanib se saba aati hai dekho

Gulshan mein bahar aai key zindaN hua aabad
Kis samt se naghmoN ki sada aati hai dekho
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Dhul key nikley gi abhi shashma-e-mehtaab se raat
Gul Hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
Gul Hui jaati hai...

Yaar Ko Humne Ja Ba Ja

Title: Yaar Ko Humne Ja Ba Ja
Album: Raqs-e-Bismil
Duration: 06:16
Written By: Hazrat Shah Niaz

Download Link: http://www.mediafire.com/?vjwz4bjz2yo

Complete Lyrics:

Yaar ko humne ja ba ja dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Kahin zahir kahin chuppa dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha

kahin mumkin hua kahin wajib
kahin mumkin hua kahin wajib
kahin faani kahin baqa dekha
kahin faani kahin baqa dekha

Yaar ko humne ja ba ja dekha
Kahin zahir kahin chuppa dekha

Kahin woh baadshah hai takht nasheeN
Kahin woh baadshah hai takht nasheeN
kahin kaasa liye gada dekha
kahin kaasa liye gada dekha

Yaar ko humne ja ba ja dekha
Kahin zahir kahin chuppa dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha

Kahin woh dar libas-e-mashooqa
Kahin woh dar libas-e-mashooqa
Bar sar-e-naaz aur ada dekha
Bar sar-e-naaz aur ada dekha

Kahin zahir kahin chuppa dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha

Kahin aashiq niaz ki soorat
Kahin aashiq niaz ki soorat
Kahin aashiq niaz ki soorat
Seena-giriya-o-dil-jala dekha
Seena-giriya-o-dil-jala dekha

Yaar ko humne ja ba ja dekha
Kahin zahir kahin chuppa dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Kahin zahir kahin chuppa dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha

Let Me know

Please let me know if information provided here about poets, albums or lyrics is incorrect or does not match with your views.

Regards!

Main Naara-e-Mastaana

Name: Main Naara-e-Mastaana
Album: Ishq Mastaana
Duration: 7:20
Lyrics: Wasif Ali Wasif

Download Link: http://www.mediafire.com/?nays3wzgtoq

Complete Lyrics:

Jo kuch kiya so too kiya,
Main kacho kiya nahin
Kaho kahin jo main kiya?
Tum hi the mujhe ma

Main Naara-e-Mastaana, Main shoukhi-e-rindaana
Main tashna kahaN jaaoN? Pee ker bhi kahan jaana?

Main soz-e-mohabbat hun, Main aik qayaamat hun
Main ashk-e-nadaamat hun, main gohar-e-yak daana

Main husn-e-mujassim hun, Main geysoo-e-barham hun
Main phool hun, shabnam hun, Main jalwa-e-jaanana

Main waasif-e-bismil huN, Main ronaq-e-mehfil huN
Ik toota hua dil hun, Main sheher mein veerana

Main Naara-e-Mastaana, Main shoukhi-e-rindaana
Main tashna kahaN jaaoN? Pee ker bhi kahan jaana?

Main hosh mein hoon

Name: Main hosh mein hoon
Album: Ishq Mastaana
Duration: 7:20
Lyrics: Hazrat Zaheen Shah Taaji

Download Link: http://www.mediafire.com/?4ms9z3nwq73

Complete Lyrics:

Main hosh mein hun to tera hun, Deewana hun to tera hun
Hun raaz ager to tera hun, afsaana hun to tera hun

Barbaad kiya barbaad hua, aabad kiya aabad hua
veerana hun to tera hun, Kaashaana hun to tera hun

Tuu mere kaif ki duniya hai, tuu meri masti ka aalam
Paimaana hun to tera hun, Maikhaana hun to tera hun

Har Zarra Zaheen ki hasti ka, Tasveer hai teri sar-ta-paa
O kaaba-e-dil dhaane wale, butt khaana hun to tera hun

Be Soorat-e-illahi

Name: Be Soorat-e-illahi
Album: Ishq Mastaana
Duration: 7:23
Lyrics: Mohammad Rafi Sauda

Download Link: http://www.mediafire.com/?rym5a2gyrjv

Complete Lyrics:
Be Soorat-e-illahi is des bastiyan hain
Ab jin ke dekhne ko aankhen tarastiyaaN hain

Barsaat ka to mausam kab ka nikal gaya per
MizhgaaN ki yeh ghataeiN ab tak barastiyaaN hain

Kion ker na ho yeh zakhmi, sheesha sa dil humara
Us shokh ki nigaaheN pathar mein dhanstiyaaN hain

Jab main kaha yeh us se sauda ko apne mil key
Is saal tuu hai saaqi aur mai parastiyaaN hain

Be Soorat-e-illahi is des bastiyan hain
Ab jin ke dekhne ko aankhen tarastiyaaN hain

Ae Yaar Na Mujh Se

Name: Ae Yaar Na Mujh Se
Album: Ishq Mastaana
Duration: 07:14

Download Link: http://www.mediafire.com/?wmlfduylysq

Complete Lyrics:

Ae yaar na mujh se munh ko chuppa, tuu aur nahin main aur nahin
Hai shakl teri mera naqsha, tuu aur nahin mein aur nahin

Main tujh to gheyr samajhta tha aur khud ko aur samajhta tha
Per chashm-e-ghour se jab dekha, tuu aur nahin mein aur nahin

Awwal tuu hai, aakhir tuu hai, zaahir tuu hai, baatin tuu hai
Mein tujh mein hun, tuu mujh mein chuppa, tuu aur nahin main aur nahin

Main taalib-e-vasl jo yaar se tha, bola woh key khud ko dekh zara
Tuu main hi to hun, az sar-ta-paa tuu aur nahin main aur nahin

Mera Khamosh Reh KEr Bhi

Name: Mera Khamosh Reh KEr Bhi
Album: Ishq Mastaana
Duration: 7:04

Download Link: http://www.mediafire.com/?98cwj43j5rq

Complete Lyrics:

Mera khamosh reh ker bhi unhen sab kuch sunaa dena
ZabaaN se kuch na kehna , dekh ker aansoo bahaa dena

Main is haalat se pohuncha, hashr wale khud pukaar uthe
Koii fariyaad kerne aa raha hai, raastaa dena

Ijaazat ho to keh dun, qissa-e-ulfat sar-e-mehfil
Mujhe kuch to fasaana yaad hai, kuch tum sunaa dena

Mein mujrim huN, mujhe iqraar hai jurm-e-mohabbat ka
Magar Pehle Khataa per ghour ker lo, phir sazaa dena

Qamar woh sab se chup ker aa rahe hain faatiha parhne
Kahun kis se key meri sham'e turbat ko bujhaa dena

Mera khamosh reh ker bhi unhen sab kuch sunaa dena
ZabaaN se kuch na kehna , dekh ker aansoo bahaa dena

Ab Lagan Lagi

Another great combination of BABA BULLEH SHAH and ABIDA PARVEEN JI

Name: Ab Lagan Lagi
Album: Baba Bulleh Shah
Duration: 08:19
Written By: Baba Bulleh Shah(Main verses), Hazrat Sultan Bahu (Secondary Verses)
Download Link: http://www.mediafire.com/?myjiwhrwpnl

Complete Lyrics:

Ab lagan lagi kii kariye?

Dard andar da andar saar ae bahar karan ta ghayal hoo
Haal asaan da kiwiN jaanan jo duniya de maayal hoo
Baahir samadar ishqe wala har dam rehnda hayal hoo
Pohunch huzoor aasaan nahin, asaaN naam tere de saayel hoo

Ab lagan lagi kii kariye?
Tum suno humaari behna
Aaye raat dine nahin chaina
Hun pee bin palak na sariye

Ae agan birhoN di bhaari
koi humaari preet na waari
Bin darshan kaise turiye?
Ab lagan lagi kii kariye?

Ae tan mera chashma hove mein murshad vekh na rajaaN hoo
Loon Loon de mudd lakh lakh chashmaaN ik kholaN ik kajaaN hoo
ItneyaN dithiyaaN sabar na aawe hor kittey wal pajjaaN hoo
Murshid da deedar hai mainu lakh karooRaaN hajjaaN hoo

Bullah aape hi museebat bhaari
koi karo humari doaari
Aeho jaaye dukh kaise jhaliye?
Ab lagan lagi ki kariye
Na jee sakiye na mariye

Wah Wah Ramz Sajan Di Hor

Here is a treat for BABA BULLEH SHAH Fans.

I promise you will not regret Downloading it...

Name: Wah Wah Ramz Sajan Di Hor
Album: Baba Bulleh Shah
Duration: 12:03
Written By: Baba Bulleh Shah (Main Verses), Hazrat Sultan Bahu (Secondary verses)
Download Link: http://www.mediafire.com/?oarbamkh9ij

Complete Lyrics:

Wah wah ramz sajan di hor
Aashiq bina na samjhe por

Aashiq Sooi haqeeqi Jehra qatal mashooq de manne hoo
Ishq na choRe mukh na more saye talwaaraN khanne hoo
Jit wal wekhe raaz mahi de lage osey banne hoo
Sacha ishq Hussain Ali da Bahu, Sir daye raaz na bhanne hoo

Wah wah ramz sajan di hor
Aashiq bina na samjhe por

Kothey ter chaRh dewaN hoka
Ishq weha jo koii na loka
Is da mool na khaana dhoka
Jangal basti mile na thor

Ishq mahi de laayiaaN aagi, ae lagiyaN kon bujhaave hoo
Mein ki jaana zaat ishq di dar dar jaa jhukaave hoo
Na khud sove na son deve sutiyaaN aan jagave hoo
Main qurban tinhaaN de bahu jehRa wichre yaar milave hoo

Wah wah ramz sajan di hor
Aashiq bina na samjhe por

Je o aan mile dil jaani
Us tooN jaan karaN qurbaani
Soorat de wich Yusaf-e-saani
Qaalib de wich disda chor

Wah wah ramz sajan di hor
Aashiq bina na samjhe por

Murshad makka talib haaji qibla ishq banaya hoo
Wich huzoor sadaa har wele kariye hajjsawayaa hoo
Hik dam maithoN juda na howe dil milne tey aaya hoo
Murshid aen hayaati baahu mere looN looN wich samaya hoo

Wah wah ramz sajan di hor
Aashiq bina na samjhe por

De deedar hoya jad raahi
Achan cheyt paii gal phaahi
DhahDi keeti be-parwaahi
Mainu milya Thag lahore

Wah wah ramz sajan di hor
Aashiq bina na samjhe por

Aashiq phirde chup chupate
Jaise mast sada madh maate
Daam zulf de andar phaate
Othey challe was na zor

Wah wah ramz sajan di hor
Aashiq bina na samjhe por

Bullah shah no koii na dekhe
Jo dekhe so kise na lekhe
Us da rang na roop na rekh ae
Ohi hove ho ke chor

Wah wah ramz sajan di hor
Aashiq bina na samjhe por

Sair Hai Tujh Se

Here i am beginning the journey with one of my favorite Ghazal sung by Abida Parveen Ji.

Awesome Voice Expression
Great Poetry
Excellent Composition and music.....

wat else you need ?

Name: Sair Hai Tujh Se
Album: Ishq Mastaana
Duration: 8:31
Download Link: http://www.mediafire.com/?t7krmlcxh6r

Lyrics:

Sair hai tujh se meri jaaN jidher ko chaliye
Tuu hi gar saath na hovey to kidher ko chaliye?

HaaN kaaba ho key butt khaana gharaz hum se sun
Jis taraf dil ki tabeeyat ho udher ko chaliye

Jab mein chalta hun tere koocher se katra key kabhi
Dil mujhe pheyr key kehta hai idher ko chaliye

In dinoN raat isi fikr mein kaT'ti hai hassan
Subha kab hovey key bhi yaar key gher ko chaliye

Abida Parveen Collection

Abida Parveen Collection
In this thread i will post all the collection of Abida Parveen.

You can also request any track you want. I will do my best to provide!

Please feel free to suggest anything so i can improve.

I DONT PROMISE TO COMPLETE YOUR COLLECTION BUT YOU WILL GET 99% OF ALL WHAT ABIDA JI HAS EVER SUNG.